Ramadhan Ki Amad

Wednesday, December 29, 2010

Ramadhan Ki Amad Hai 
Rehmatein Barasane Wala Mahina Hai 
Ao Aaj Sub Khataon Ki Maafi Maang Lein 
Dar-e-taurba Khula Hai Is Mahine Mein 

Firdous Ki Khusboo Ati Hai 
Woh Naseeb Wala Hai Jise Mile Firdous 
Ao Aaj Hum Koshish Karein 
Usse Paane Ki, Jise Hum Ne Abhi Talak Paya Hi Nahin 


Ibadatoon Ke Is Door Mein 
Ao Maangein Sub Ke Liye Magfarat 
Maangtein Hain Hum Kuch Na Kuch Apne Liye 
Chalo Aaj Doosroon Ke Liye Maangein 

Ramadhan Ki Amad Ki Khusi Hai Bahut 
Saath Hi Is Ke Jald Roohsat Ho Jaane Ka Ghum 
Khuda Kare Waqt Tham Jaein Us Waqt 
Jab Baras Rahi Ho Khuda Ki Rehmat Hum Par 

Ramadhan Ke Roohsath Hone Se Pehle 
Dar-e-tauba Band Hone Se Pehle 
Is Mubarak Mahine Ki Har Fazilat Hasil Kar Lein 
Jo Hum Ghuzishta Saaloon Mein Hasil Na Kar Sake 

Ramadhan Mubarak... Ramadhan Mubarak... 
Ramadhan Mubarak... Ramadhan Mubarak...

0 comments:

Post a Comment